si wajah se dunya ke bohat se insani mazahib mein paharon ko bohat ahmiyat hasil hai jis ke peechey ye tasweer mojood hai ke shayad pahar par charh kar Allah se baat cheet ki jasakti hai aur iss ka qurb hasil ho sakta hai – Iss dars mein na sirf mukhtalif tarha ke paharon ki hiyat aur inn ke mukhtalif rangon ki aqsaam ka zikr kiya gaya hai aur ye bhi bataya gaya hai ke kaun se makhsoos pahar mukhtalif mazahib mein ahmiyat ka darja rakhte hein balke ye bhi wazahat ki gai hai ke Quran mein Allah ne aik khas pahar ka bhi zikr kiya hai jo aik Rasool ki shakhsiyat ke waqia ke saath munsalik hai. Ye pahar Jabl e Noor / Roshni ke pahar ke naam se jana jata hai aur isi pahar par Ghar e Hira bhi hai. Quran ki ayaat ke mutabiq ye pahar kiya ahmiyat rakhta hai aur iski makaniyat kahan hai aur iss ka sahi tasawur aur nazarya kya hai iske liye dars dekhna lazmi hai