Ummul Qura

Duniya mein Makkah shehar ko sb jantay hain kyun kay isi shehar mein Allah ka ghar hai aur duniya ke tamam musalman isi shehar mein Umra aur Hajj ki adaigi ke liye jatay hain. lekin logon ki aksariyat ko is baat ka ilm nahi hai ke Makkah shehar ko Ummul Qura / bustiyon ki maa bhi kaha jata hai. Duniya mein is shehar ka kya maqam hai aur duniya ke tamam shehron ke liye is shaher Makkah ka kya kirdaar hai, Muhammad Shaikh ka yeh dars isi baat ki wazahat karta hai aur bohat ahmiyat ka haamil hai.